zindagi mein bas ek kaam kiya
zindagī meñ bas ek kaam kiyā
us kī ḳhvāhish kā ehtirām kiyā
ḳhud se bichhḌe to ho ga.e us ke
apnā dīvān us ke naam kiyā
us ke qisse sunā.e logoñ ko
sab ko us shaḳhs kā ġhulām kiyā
aañkh vāloñ ko ḳhvāb dekhne the
jin kā andhoñ ne ehtimām kiyā
is aqīdat se us kī puujā kī
ḳhud hī patthar ne raam raam kiyā
zindagi mein bas ek kaam kiya
us ki KHwahish ka ehtiram kiya
KHud se bichhDe to ho gae us ke
apna diwan us ke nam kiya
us ke qisse sunae logon ko
sab ko us shaKHs ka ghulam kiya
aankh walon ko KHwab dekhne the
jin ka andhon ne ehtimam kiya
is aqidat se us ki puja ki
KHud hi patthar ne ram ram kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.