zindagi mein gham hi gham hain aur tu hai
zindagī meñ ġham hī ġham haiñ aur tū hai
marhale kuchh dam-ba-dam haiñ aur tū hai
baaġh meñ jab phuul haiñ kāñTeñ bhī hoñge
zindagī meñ jaise ham haiñ aur tū hai
āsmāñ meñ jitne haiñ ye chāñd taare
ishq meñ utne sitam haiñ aur tū hai
ai ḳhudā apnā Thikāna chal batā de
sāmne dair-o-haram haiñ aur tū hai
ye kahānī kyoñ ulajhtī jā rahī hai
hai bhī kyā is meñ ki ham haiñ aur tū hai
mehrbāñ hoñge alakh ash.ār mere
sab tire rahm-o-karam haiñ aur tū hai
zindagi mein gham hi gham hain aur tu hai
marhale kuchh dam-ba-dam hain aur tu hai
bagh mein jab phul hain kanTen bhi honge
zindagi mein jaise hum hain aur tu hai
aasman mein jitne hain ye chand tare
ishq mein utne sitam hain aur tu hai
ai KHuda apna Thikana chal bata de
samne dair-o-haram hain aur tu hai
ye kahani kyon ulajhti ja rahi hai
hai bhi kya is mein ki hum hain aur tu hai
mehrban honge alakh ashaar mere
sab tere rahm-o-karam hain aur tu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.