zindagi mein rang bhar ke mar gae
zindagī meñ rang bhar ke mar ga.e
jin ko jiinā thā vo pahle mar ga.e
marne vaalā hañste hañste mar gayā
jiine vaale rote rote mar ga.e
āsmāñ se gir ke paa.ī zindagī
aap kī nazroñ se gir ke mar ga.e
sab ko marnā hai bahar-sūrat magar
pūchhte haiñ log kaise mar ga.e
zindagī sab se baḌā in'ām hai
kahne vaale zahr khā ke mar ga.e
mar ga.e bistar pe jo zinda rahe
jī ga.e jo chalte-phirte mar ga.e
itne buzdil ho ga.e sab mere baa'd
suur kī āvāz sun ke mar ga.e
kyā karūñ ab ek hisse par ġhurūr
zindagī ke tiin hisse mar ga.e
maut ne 'irfāñ' hameñ maarā nahīñ
zindagī se laḌte laḌte mar ga.e
zindagi mein rang bhar ke mar gae
jin ko jina tha wo pahle mar gae
marne wala hanste hanste mar gaya
jine wale rote rote mar gae
aasman se gir ke pai zindagi
aap ki nazron se gir ke mar gae
sab ko marna hai bahar-surat magar
puchhte hain log kaise mar gae
zindagi sab se baDa in'am hai
kahne wale zahr kha ke mar gae
mar gae bistar pe jo zinda rahe
ji gae jo chalte-phirte mar gae
itne buzdil ho gae sab mere ba'd
sur ki aawaz sun ke mar gae
kya karun ab ek hisse par ghurur
zindagi ke tin hisse mar gae
maut ne 'irfan' hamein mara nahin
zindagi se laDte laDte mar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.