zindagi mein teri uqab hai kya
zindagī meñ tirī uqaab hai kyā
dil meñ tere bhī iztirāb hai kyā
ashk āñkhoñ meñ lab pa ḳhāmoshī
ishq tujh ko bhī be-hisāb hai kyā
vo jo jaltā hai vo hī sūraj hai
jo chamaktā hai māhtāb hai kyā
log kyoñ itne dil dukhāte haiñ
dil dukhānā koī savāb hai kyā
tere hoñToñ pe hai hañsī itnī
dard tujh ko bhī be-hisāb hai kyā
vo jo nākām ho chukā thā kabhī
vo hī duniyā meñ kāmyāb hai kyā
merī har baat par ye ḳhāmoshī
ye ḳhamoshī tirī javāb hai kyā
bārhā log us ko paḌhte haiñ
us kā chehra koī kitāb hai kyā
tū jo sotā nahīñ hai ai 'rizvān'
terī āñkhoñ meñ koī ḳhvāb hai kyā
zindagi mein teri uqab hai kya
dil mein tere bhi iztirab hai kya
ashk aankhon mein lab pa KHamoshi
ishq tujh ko bhi be-hisab hai kya
wo jo jalta hai wo hi suraj hai
jo chamakta hai mahtab hai kya
log kyon itne dil dukhate hain
dil dukhana koi sawab hai kya
tere honTon pe hai hansi itni
dard tujh ko bhi be-hisab hai kya
wo jo nakaam ho chuka tha kabhi
wo hi duniya mein kaamyab hai kya
meri har baat par ye KHamoshi
ye KHamoshi teri jawab hai kya
barha log us ko paDhte hain
us ka chehra koi kitab hai kya
tu jo sota nahin hai ai 'rizwan'
teri aankhon mein koi KHwab hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.