zindagi mein yun to har ek hadisa nagah tha
zindagī meñ yuuñ to har ik hādisa nāgāh thā
jism ke parchhā.īñ banñe kā amal jāñ-kāh thā
ab to saare dasht-o-dariyā in nigāhoñ meñ raheñ
din ga.e zauq-e-safar meñ jab koī gumrāh thā
ḳhālī-pan apnī jagah kuchh talḳhiyāñ rakhtā to hai
khokhle-pan se rifāqat ke bhī dil āgāh thā
tevar-e-dariyā kā shikva hai na tūfāñ kā gilā
merī parvāreñ ḳhafā thiiñ bādbāñ bad-ḳhvāh thā
ajnabiyyat aa ga.ī hai mujh meñ thoḌī sī to kyā
ye zamāna bhī mirī jānib se lā-parvāh thā
zindagi mein yun to har ek hadisa nagah tha
jism ke parchhain banne ka amal jaan-kah tha
ab to sare dasht-o-dariya in nigahon mein rahen
din gae zauq-e-safar mein jab koi gumrah tha
KHali-pan apni jagah kuchh talKHiyan rakhta to hai
khokhle-pan se rifaqat ke bhi dil aagah tha
tewar-e-dariya ka shikwa hai na tufan ka gila
meri parwaren KHafa thin baadban bad-KHwah tha
ajnabiyyat aa gai hai mujh mein thoDi si to kya
ye zamana bhi meri jaanib se la-parwah tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.