zindagi mere KHilaf aaj bhi aisi hai ki bas
zindagī mere ḳhilāf aaj bhī aisī hai ki bas
saañs letā huuñ to har saañs pe kahtī hai ki bas
kashtiyāñ thiiñ ka.ī aur ham ki musāfir tanhā
kashtiyāñ khete hue umr vo guzrī hai ki bas
ek majbūr ke ashkoñ meñ haiñ tūfāñ kitne
aur hoñToñ meñ dabī us ke vo siskī hai ki bas
saḳht dil itnā ki dil us kā pasīje na kabhī
aur zabāñ us kī zabāñ itnī bhī mīThī hai ki bas
vo thakan hai ki bas ab niiñd hī aa jaa.e mujhe
sard mausam mire atrāf vo ḳhunkī hai ki bas
vo jo ehsās kī bārish thī muallaq kuchh roz
ab vo barsī bhī to is tarah se barsī hai ki bas
zindagi mere KHilaf aaj bhi aisi hai ki bas
sans leta hun to har sans pe kahti hai ki bas
kashtiyan thin kai aur hum ki musafir tanha
kashtiyan khete hue umr wo guzri hai ki bas
ek majbur ke ashkon mein hain tufan kitne
aur honTon mein dabi us ke wo siski hai ki bas
saKHt dil itna ki dil us ka pasije na kabhi
aur zaban us ki zaban itni bhi miThi hai ki bas
wo thakan hai ki bas ab nind hi aa jae mujhe
sard mausam mere atraf wo KHunki hai ki bas
wo jo ehsas ki barish thi muallaq kuchh roz
ab wo barsi bhi to is tarah se barsi hai ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.