zindagi meri hui hai phir niDhaal
zindagī merī huī hai phir niDhāl
ye umīd-e-be-sabātī kā kamāl
jab chalī ai ziist mustaqbil kī baat
ban gayā huuñ aap ḳhud apnā savāl
sher kah kar paas rakh letā huuñ maiñ
fan kī duniyā meñ na ho phir qīl-o-qāl
pūchhnā kyā shahr-e-sañg-o-ḳhisht se
rañg badlā hai zamāne kī misāl
maiñ ki har sher meñ 'shāhid' nahīñ
sirf pesh-e-lafz hai merā ḳhayāl
zindagi meri hui hai phir niDhaal
ye umid-e-be-sabaati ka kamal
jab chali ai zist mustaqbil ki baat
ban gaya hun aap KHud apna sawal
sher kah kar pas rakh leta hun main
fan ki duniya mein na ho phir qil-o-qal
puchhna kya shahr-e-sang-o-KHisht se
rang badla hai zamane ki misal
main ki har sher mein 'shahid' nahin
sirf pesh-e-lafz hai mera KHayal
- Book : Aiwan (Pg. 57)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.