zindagi milti nahin hai zindagi ke shahr mein
zindagī miltī nahīñ hai zindagī ke shahr meñ
dukh hī dukh haiñ āj-kal apnī ḳhushī ke shahr meñ
mushkileñ to haiñ bahut duniyā ke mele meñ magar
paatā huuñ behad sukūñ maiñ bandagī ke shahr meñ
chalte phirte ab ġhazal kahne lagā huuñ dosto
aa gayā huuñ jis ghaḌī se shā.irī ke shahr meñ
us nazāre ne uḌaa.e hosh mere yak-ba-yak
ik se ik dīvāne dekhe āshiqī ke shahr meñ
sirf haivāñ hī nazar aate haiñ ab chāroñ taraf
aadmī ko DhūñDhtā huuñ aadmī ke shahr meñ
ḳhauf ke ifrīt ne hamla kiyā to har taraf
chhā gayā gahrā añdherā raushnī ke shahr meñ
ab kahīñ jaa.e amaañ miltī nahīñ mujh ko 'samar'
dushmanī hone lagī hai dostī ke shahr meñ
zindagi milti nahin hai zindagi ke shahr mein
dukh hi dukh hain aaj-kal apni KHushi ke shahr mein
mushkilen to hain bahut duniya ke mele mein magar
pata hun behad sukun main bandagi ke shahr mein
chalte phirte ab ghazal kahne laga hun dosto
aa gaya hun jis ghaDi se shairi ke shahr mein
us nazare ne uDae hosh mere yak-ba-yak
ek se ek diwane dekhe aashiqi ke shahr mein
sirf haiwan hi nazar aate hain ab chaaron taraf
aadmi ko DhunDhta hun aadmi ke shahr mein
KHauf ke ifrit ne hamla kiya to har taraf
chha gaya gahra andhera raushni ke shahr mein
ab kahin jae aman milti nahin mujh ko 'samar'
dushmani hone lagi hai dosti ke shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.