zindagī mujh se jo Takrā.ī mile
ain mumkin hai ki chakrā.ī mile
chaah dariyā kī nahīñ lekin hameñ
Dūbne laa.eq to gahrā.ī mile
ham-vatan jaise mileñ pardes meñ
ham se yuuñ mahfil meñ sahrā.ī mile
āñsūoñ se Diary meñ darj hai
aap ham ko ek chauthā.ī mile
kyā phisalnā bhī zarūrī hai miyāñ
paañv rakhte hī agar kaa.ī mile
mashq hai itnī banā deñge pahāḌ
gar kisī ġham kī hameñ raa.ī mile
baad tere yuuñ milī duniyā hameñ
choTiyoñ se gir ke juuñ khaa.ī mile
zindagi mujh se jo Takrai mile
ain mumkin hai ki chakrai mile
chah dariya ki nahin lekin hamein
Dubne laeq to gahrai mile
ham-watan jaise milen pardes mein
hum se yun mahfil mein sahrai mile
aansuon se Diary mein darj hai
aap hum ko ek chauthai mile
kya phisalna bhi zaruri hai miyan
panw rakhte hi agar kai mile
mashq hai itni bana denge pahaD
gar kisi gham ki hamein rai mile
baad tere yun mili duniya hamein
choTiyon se gir ke jun khai mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.