zindagi muKHtasar kahani hai
zindagī muḳhtasar kahānī hai
kab ise der tak sunānī hai
aap kā ehtirām hai dil meñ
ye mohabbat kī mehrbānī hai
us ke a.amāl par nazar rakhiye
vo jo kahtā hai ḳhāndānī hai
ek aañsū se āsmāñ larzāñ
aañkh meñ kis tarah kā paanī hai
dard mehmān ban ke aate haiñ
mere hisse meñ mezbānī hai
kis tarah ho safar muḳhālif samt
jo bhī kashtī hai bādbānī hai
us ko mat naam ishq kā diije
vo jo sahrā meñ ḳhaak chhānī hai
peT aur rozgār kā chakkar
aap kī yaad bhuul jaanī hai
zindagi muKHtasar kahani hai
kab ise der tak sunani hai
aap ka ehtiram hai dil mein
ye mohabbat ki mehrbani hai
us ke aamal par nazar rakhiye
wo jo kahta hai KHandani hai
ek aansu se aasman larzan
aankh mein kis tarah ka pani hai
dard mehman ban ke aate hain
mere hisse mein mezbani hai
kis tarah ho safar muKHalif samt
jo bhi kashti hai baadbani hai
us ko mat nam ishq ka dije
wo jo sahra mein KHak chhani hai
peT aur rozgar ka chakkar
aap ki yaad bhul jaani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.