zindagi naqsh-e-ab hai logo
zindagī naqsh-e-āb hai logo
bulbula hai sarāb hai logo
tum jahāñ se bhī chāho paḌh Daalo
merā chehra kitāb hai logo
zāhiran sab sukūñ se rahte haiñ
sab ko hī iztirāb hai logo
ūñche-ūñche makān ḳhālī ghar
sab kā ḳhāna-ḳharāb hai logo
is shahar Duube us shahar nikle
ishrat-e-āftāb hai logo
merī barbādiyāñ hī becho tum
kuchh kamāo savāb hai logo
phir na aanā nizām TūTegā
aa ke jāoge ḳhvāb hai logo
ghar kī dahlīz par jalānā charāġh
daras-e-'īraj' kā baab hai logo
zindagi naqsh-e-ab hai logo
bulbula hai sarab hai logo
tum jahan se bhi chaho paDh Dalo
mera chehra kitab hai logo
zahiran sab sukun se rahte hain
sab ko hi iztirab hai logo
unche-unche makan KHali ghar
sab ka KHana-KHarab hai logo
is shahar Dube us shahar nikle
ishrat-e-aftab hai logo
meri barbaadiyan hi becho tum
kuchh kamao sawab hai logo
phir na aana nizam TuTega
aa ke jaoge KHwab hai logo
ghar ki dahliz par jalana charagh
daras-e-'iraj' ka bab hai logo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.