zindagi ne baKHsha hai zahr-e-agahi mujhko
zindagī ne baḳhshā hai zahr-e-āgahī mujh ko
kar diyā gayā andhā de ke raushnī mujh ko
ḳhvāb kā har ik shīsha sau jagah se TuuTā hai
kis qadar paḌī mahñgī ā.īna-garī mujh ko
dūsroñ se nafrat kā ḳhvāb tak na dekhūñgā
dosto ḳhud apne se ishq hī sahī mujh ko
maiñ jahāñ bhī huuñ lekin mutma.in to baiThā huuñ
tere rushd se behtar merī gumrahī mujh ko
is tarah to but ban kar mere paas mat tū baiTh
ḳhaar ban ke chubhtī hai terī ḳhāmushī mujh ko
ye mirā muqaddar hai yā tirī sharārat hai
kyuuñ lahū rulātī hai terī dostī mujh ko
bas tujhe hī paane ko vaqf thī mirī parvāz
le uḌā ḳhalāoñ meñ zauq-e-bandagī mujh ko
maiñ ki din kā beTā huuñ raushnī ugaltā huuñ
kyā bhalā Darā.egī shab kī tīrgī mujh ko
ḳhvāb ke jazīroñ par giit kis tarah likkhūñ
har-qadam pe Dastī hai jab ki zindagī mujh ko
zindagi ne baKHsha hai zahr-e-agahi mujh ko
kar diya gaya andha de ke raushni mujh ko
KHwab ka har ek shisha sau jagah se TuTa hai
kis qadar paDi mahngi aaina-gari mujh ko
dusron se nafrat ka KHwab tak na dekhunga
dosto KHud apne se ishq hi sahi mujh ko
main jahan bhi hun lekin mutmain to baiTha hun
tere rushd se behtar meri gumrahi mujh ko
is tarah to but ban kar mere pas mat tu baiTh
KHar ban ke chubhti hai teri KHamushi mujh ko
ye mera muqaddar hai ya teri shararat hai
kyun lahu rulati hai teri dosti mujh ko
bas tujhe hi pane ko waqf thi meri parwaz
le uDa KHalaon mein zauq-e-bandagi mujh ko
main ki din ka beTa hun raushni ugalta hun
kya bhala Daraegi shab ki tirgi mujh ko
KHwab ke jaziron par git kis tarah likkhun
har-qadam pe Dasti hai jab ki zindagi mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.