zindagi pe ek ehsan kar jaiye
zindagī pe ik ehsān kar jā.iye
aap dil meñ hamāre utar jā.iye
dil kā dariyā mohabbat se labrez hai
is meñ ġhota lagā kar nikhar jaa.e
is zamāne kā koī bharosa nahīñ
shaam hone lagī apne ghar jā.iye
ziist kī raah dushvār hai to magar
rāh-e-hastī se hans kar guzar jā.iye
mezbānī kā mauqa mujhe bhī mile
aaj kī shab mere ghar Thahar jā.iye
zindagi pe ek ehsan kar jaiye
aap dil mein hamare utar jaiye
dil ka dariya mohabbat se labrez hai
is mein ghota laga kar nikhar jae
is zamane ka koi bharosa nahin
sham hone lagi apne ghar jaiye
zist ki rah dushwar hai to magar
rah-e-hasti se hans kar guzar jaiye
mezbani ka mauqa mujhe bhi mile
aaj ki shab mere ghar Thahar jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.