zindagi rah-e-wafa mein jo miTa dete hain
zindagī rāh-e-vafā meñ jo miTā dete haiñ
naqsh ulfat kā vo duniyā meñ jamā dete haiñ
is tarah jurm-e-mohabbat kī sazā dete haiñ
vo jise apnā samajhte haiñ miTā dete haiñ
ek jul roz hameñ aap nayā dete haiñ
va.ada-e-vasl ko bātoñ meñ uḌā dete haiñ
ḳhum-o-mīnā-o-subū bazm meñ aate aate
apnī āñkhoñ se ka.ī jaam pilā dete haiñ
husn kā koī judā to nahīñ hotā andāz
'ishq vaale unheñ andāz sikhā dete haiñ
kosne dete haiñ jis vaqt butān-e-tannāz
haath uThā.e hue ham un ko du'ā dete haiñ
mere ḳhvāboñ meñ bhī aate haiñ 'adū ke hamrāh
ye vafāoñ kā mirī aap sila dete haiñ
hālat-e-ġhair pe yuuñ ḳhair se hañsne vaale
is tavajjoh kī bhī ham tum ko du'ā dete haiñ
shahr meñ roz uḌā kar mire marne kī ḳhabar
jashn vo roz raqīboñ kā manā dete haiñ
dair-o-kā'ba ho kalīsā ho ki mai-ḳhāna ho
sab har ik dar pe tujhī ko to sadā dete haiñ
ishva-o-husn-o-adā par tirī marne vaale
kitne mā'sūm yūñhī 'umr gañvā dete haiñ
pa.e gul-gasht vo gul-posh jo aa.e 'gulzār'
zindagī sabze ke mānind bichhā dete haiñ
zindagi rah-e-wafa mein jo miTa dete hain
naqsh ulfat ka wo duniya mein jama dete hain
is tarah jurm-e-mohabbat ki saza dete hain
wo jise apna samajhte hain miTa dete hain
ek jul roz hamein aap naya dete hain
wada-e-wasl ko baaton mein uDa dete hain
KHum-o-mina-o-subu bazm mein aate aate
apni aankhon se kai jam pila dete hain
husn ka koi juda to nahin hota andaz
'ishq wale unhen andaz sikha dete hain
kosne dete hain jis waqt butan-e-tannaz
hath uThae hue hum un ko du'a dete hain
mere KHwabon mein bhi aate hain 'adu ke hamrah
ye wafaon ka meri aap sila dete hain
haalat-e-ghair pe yun KHair se hansne wale
is tawajjoh ki bhi hum tum ko du'a dete hain
shahr mein roz uDa kar mere marne ki KHabar
jashn wo roz raqibon ka mana dete hain
dair-o-ka'ba ho kalisa ho ki mai-KHana ho
sab har ek dar pe tujhi ko to sada dete hain
ishwa-o-husn-o-ada par teri marne wale
kitne ma'sum yunhi 'umr ganwa dete hain
pae gul-gasht wo gul-posh jo aae 'gulzar'
zindagi sabze ke manind bichha dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.