zindagi ranj-o-shadmani hai
zindagī ranj-o-shādmānī hai
ye kahānī bahut purānī hai
dard-e-dil phir sahī zarā dam le
koī pal apnī zindagānī hai
gul-jabīñ hai hasīn-o-mahvash bhī
'ālam-e-ḳhvāb vo javānī hai
rang duniyā badal gayā lekin
dil meñ sūrat vahī purānī hai
ye shab-e-ġham ye merī tanhā.ī
is rifāqat kā kaun saanī hai
shiddat-e-ġham se phaT na jaa.e dil
hijr kī raat jāvedānī hai
tark-e-ḳhalvat se kyā milā ham ko
mahfiloñ meñ bhī rā.egānī hai
ye mohabbat hai ik qayāmat sī
ham pe guzrī to ham ne maanī hai
mausam-e-gul hai sūrat-e-mahshar
yūñhī ab zindagī bitānī hai
maiñ ne nazroñ se kar diyā shikva
kyā 'ajab merī be-zabānī hai
zindagī kā safar tamām huā
āmad-e-marg-e-nā-gahānī hai
katba merī lahad pe likhvānā
zindagī ik charāġh-e-fānī hai
zindagi ranj-o-shadmani hai
ye kahani bahut purani hai
dard-e-dil phir sahi zara dam le
koi pal apni zindagani hai
gul-jabin hai hasin-o-mahwash bhi
'alam-e-KHwab wo jawani hai
rang duniya badal gaya lekin
dil mein surat wahi purani hai
ye shab-e-gham ye meri tanhai
is rifaqat ka kaun sani hai
shiddat-e-gham se phaT na jae dil
hijr ki raat jawedani hai
tark-e-KHalwat se kya mila hum ko
mahfilon mein bhi raegani hai
ye mohabbat hai ek qayamat si
hum pe guzri to hum ne mani hai
mausam-e-gul hai surat-e-mahshar
yunhi ab zindagi bitani hai
main ne nazron se kar diya shikwa
kya 'ajab meri be-zabani hai
zindagi ka safar tamam hua
aamad-e-marg-e-na-gahani hai
katba meri lahad pe likhwana
zindagi ek charagh-e-fani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.