zindagi regzar ki surat
zindagī regzār kī sūrat
guzrī guzrī bahār kī sūrat
vo na aa.e nazar to hai duniyā
ek ujḌe dayār kī sūrat
sar-kashī chhoḌ kar kahīñ ai dost
aa mire ġham-gusār kī sūrat
yaar kā hai ḳhayāl bhī mujh ko
ḳhvāb kī aur ḳhumār kī sūrat
mausam-e-hijr meñ tirī yādeñ
dasht meñ ābshār kī sūrat
jā-ba-jā āsmān par 'jāzib'
dard kūñjoñ kī Daar kī sūrat
zindagi regzar ki surat
guzri guzri bahaar ki surat
wo na aae nazar to hai duniya
ek ujDe dayar ki surat
sar-kashi chhoD kar kahin ai dost
aa mere gham-gusar ki surat
yar ka hai KHayal bhi mujh ko
KHwab ki aur KHumar ki surat
mausam-e-hijr mein teri yaaden
dasht mein aabshaar ki surat
ja-ba-ja aasman par 'jazib'
dard kunjon ki Dar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.