zindagi ruThi to phir humse manai na gai
zindagī rūThī to phir ham se manā.ī na ga.ī
jab añdherā huā ik sham.a jalā.ī na ga.ī
jaise Thahre hue paanī pe makāñ ho apnā
yād-e-rafta hai ajab aa.ī to aa.ī na ga.ī
maiñ falak chhū luuñ to qadmoñ se zamīñ jaatī hai
ik na.ī duniyā ḳhalāoñ meñ basā.ī na ga.ī
jaane kaisā hai mire dast-e-hunar par ye azaab
rang yuuñ bikhre ki tasvīr banā.ī na ga.ī
ek Thokar se qabā gul kī bikheregī havā
un kī ḳhushbū bhī salīqe se churā.ī na ga.ī
be-asar aaj bhī hai zulf-e-pareshāñ kā fusūñ
yūñhī bikhrī rahī zanjīr banā.ī na ga.ī
baat ban jaatī mirī ek hī pal meñ 'salmā'
kyā kareñ baat magar ham se banā.ī na ga.ī
zindagi ruThi to phir hum se manai na gai
jab andhera hua ek shama jalai na gai
jaise Thahre hue pani pe makan ho apna
yaad-e-rafta hai ajab aai to aai na gai
main falak chhu lun to qadmon se zamin jati hai
ek nai duniya KHalaon mein basai na gai
jaane kaisa hai mere dast-e-hunar par ye azab
rang yun bikhre ki taswir banai na gai
ek Thokar se qaba gul ki bikheregi hawa
un ki KHushbu bhi saliqe se churai na gai
be-asar aaj bhi hai zulf-e-pareshan ka fusun
yunhi bikhri rahi zanjir banai na gai
baat ban jati meri ek hi pal mein 'salma'
kya karen baat magar hum se banai na gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.