zindagi saunpi thi jinko wo juari nikle
zindagī sauñpī thī jin ko vo juārī nikle
ham ne samjhā unheñ rahbar vo shikārī nikle
koshisheñ kiiñ thiiñ bahut sham.a jalāne kī magar
sab hī duniyā meñ añdheroñ ke pujārī nikle
haar jaane kā koī ḳhauf nahīñ thā lekin
mere dushman mire a.asāb pe taarī nikle
kal talak jo hameñ ḳhairāt diyā karte the
haa.e mahshar meñ vahī log bhikārī nikle
maiñ agar aah bharūñ un ko hañsī aatī hai
mere ahbāb to ehsās se aarī nikle
zindagi saunpi thi jin ko wo juari nikle
hum ne samjha unhen rahbar wo shikari nikle
koshishen kin thin bahut shama jalane ki magar
sab hi duniya mein andheron ke pujari nikle
haar jaane ka koi KHauf nahin tha lekin
mere dushman mere aasab pe tari nikle
kal talak jo hamein KHairaat diya karte the
hae mahshar mein wahi log bhikari nikle
main agar aah bharun un ko hansi aati hai
mere ahbab to ehsas se aari nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.