zindagi se be-dili karna bahut aasan tha
zindagī se be-dilī karnā bahut āsān thā
tum samajhte ho mirā marnā bahut āsān thā
vo udaas āñkheñ mujhe ḳhuuñ se banānī paḌ ga.iiñ
rang to tasvīr meñ bharnā bahut āsān thā
'umr bhar chubhtī rahī us be-gunah kī ḳhāmushī
us ke sar ilzām to dharnā bahut āsān thā
saḳht mushkil tajraba thā jiine vāloñ ke liye
marne vāloñ ke liye marnā bahut āsān thā
jīte-jī lenā thā mujh ko zindagī se intiqām
varna mujh ko ḳhud-kushī karnā bahut āsān thā
zindagi se be-dili karna bahut aasan tha
tum samajhte ho mera marna bahut aasan tha
wo udas aankhen mujhe KHun se banani paD gain
rang to taswir mein bharna bahut aasan tha
'umr bhar chubhti rahi us be-gunah ki KHamushi
us ke sar ilzam to dharna bahut aasan tha
saKHt mushkil tajraba tha jine walon ke liye
marne walon ke liye marna bahut aasan tha
jite-ji lena tha mujh ko zindagi se intiqam
warna mujh ko KHud-kushi karna bahut aasan tha
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 74)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.