zindagi se ho mafar mumkin nahin
zindagī se ho mafar mumkin nahīñ
laakh chāho tum magar mumkin nahīñ
dūsroñ ke vāste saaya to hai
zer-e-sāya ho shajar mumkin nahīñ
zindagī meñ aise vo shāmil huā
us ke bin ab ye safar mumkin nahīñ
āgahī ho aur sukūn-e-qalb se
umr ho jaa.e basar mumkin nahīñ
ishq se dāman bachā kar hī chalo
jaan se jaanā agar mumkin nahīñ
rāh-e-haq meñ laakh patthar ā.eñge
saaf ho us kī Dagar mumkin nahīñ
'tāhira' us sang-dil ko chhoḌ de
zindagī meñ sabr gar mumkin nahīñ
zindagi se ho mafar mumkin nahin
lakh chaho tum magar mumkin nahin
dusron ke waste saya to hai
zer-e-saya ho shajar mumkin nahin
zindagi mein aise wo shamil hua
us ke bin ab ye safar mumkin nahin
aagahi ho aur sukun-e-qalb se
umr ho jae basar mumkin nahin
ishq se daman bacha kar hi chalo
jaan se jaana agar mumkin nahin
rah-e-haq mein lakh patthar aaenge
saf ho us ki Dagar mumkin nahin
'tahira' us sang-dil ko chhoD de
zindagi mein sabr gar mumkin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.