zindagi se jo wasta rakhiye
zindagī se jo vāsta rakhiye
mar ke jiine kā hausla rakhiye
milne-julne kā silsila rakhiye
yuuñ na apnoñ se fāsla rakhiye
us ke dar tak faqat jo le jaa.e
ek aisā bhī rāsta rakhiye
shahr-e-dil ke hamīñ haiñ shahzāde
kuchh to ham se bhī rābta rakhiye
vasl kī aas to hai nāzuk shai
jaise paanī kā bulbula rakhiye
dil kī dhaḌkan se maat khānī hai
yaar logoñ se kyā gila rakhiye
haq-parastī ke saath nazroñ meñ
karbalā kā bhī ma.arka rakhiye
zindagi se jo wasta rakhiye
mar ke jine ka hausla rakhiye
milne-julne ka silsila rakhiye
yun na apnon se fasla rakhiye
us ke dar tak faqat jo le jae
ek aisa bhi rasta rakhiye
shahr-e-dil ke hamin hain shahzade
kuchh to hum se bhi rabta rakhiye
wasl ki aas to hai nazuk shai
jaise pani ka bulbula rakhiye
dil ki dhaDkan se mat khani hai
yar logon se kya gila rakhiye
haq-parasti ke sath nazron mein
karbala ka bhi marka rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.