zindagī se ḳhafā nahīñ rahte
ek se din sadā nahīñ rahte
kyā karūñ dil kahīñ jo ghabrā.e
aap to har jagah nahīñ rahte
chain se so rahe haiñ marqad meñ
vo jo mere binā nahīñ rahte
taaza jhoñke kahāñ se ā.eñge
dil ke dar hī jo vā nahīñ rahte
apnā apnā safar hai ye duniyā
ham-nafas ham-navā nahīñ rahte
'soz' apnā vajūd kuchh bhī nahīñ
mutma.in ham zarā nahīñ rahte
zindagi se KHafa nahin rahte
ek se din sada nahin rahte
kya karun dil kahin jo ghabrae
aap to har jagah nahin rahte
chain se so rahe hain marqad mein
wo jo mere bina nahin rahte
taza jhonke kahan se aaenge
dil ke dar hi jo wa nahin rahte
apna apna safar hai ye duniya
ham-nafas ham-nawa nahin rahte
'soz' apna wajud kuchh bhi nahin
mutmain hum zara nahin rahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.