zindagi se meri is tarah mulaqat hui
zindagī se mirī is tarah mulāqāt huī
lab hile aañkh milī aur na koī baat huī
dard kī dhuup nahīñ yaad kā saaya bhī nahīñ
ab to qismat merī be-rañgī-e-hālāt huī
sirf kal hī nahīñ is daur meñ bhī dīda-varī
nazr-e-auhām huī said-e-rivāyāt huī
kal to mehvar the mirī zaat ke ye kaun-o-makāñ
kā.enāt aaj jo simTī to mirī zaat huī
sar ko phoḌā kiye patthar se samundar se laḌe
sub.h yuuñ shaam huī shaam se yuuñ raat huī
ghar mirā dekh liyā sail-e-balā ne 'shiblī'
āgahī kyā huī ik dard kī sauġhāt huī
zindagi se meri is tarah mulaqat hui
lab hile aankh mili aur na koi baat hui
dard ki dhup nahin yaad ka saya bhi nahin
ab to qismat meri be-rangi-e-haalat hui
sirf kal hi nahin is daur mein bhi dida-wari
nazr-e-auham hui said-e-riwayat hui
kal to mehwar the meri zat ke ye kaun-o-makan
kaenat aaj jo simTi to meri zat hui
sar ko phoDa kiye patthar se samundar se laDe
subh yun sham hui sham se yun raat hui
ghar mera dekh liya sail-e-bala ne 'shibli'
aagahi kya hui ek dard ki saughat hui
- Book : Be-Chehrah Lamhe (Pg. 15)
- Author : Alqama Shibli
- Publication : Shaharyaar Brothers Publications (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.