zindagi se thaki thaki ho kya
zindagī se thakī thakī ho kyā
tum bhī be-vaj.h jī rahī ho kyā
dekh kar tum ko khilne lagte haiñ
tum guloñ se bhī boltī ho kyā
is qadar jo sajī huī ho tum
merī ḳhātir sajī huī ho kyā
maiñ to murjhā gayā huuñ ab ke baras
tum kahīñ ab bhī khil rahī ho kyā
aaj ye shaam bhīgtī kyuuñ hai
tum kahīñ chhup ke ro rahī ho kyā
us kī ḳhushbū nahīñ rahī vaisī
shahr se apne jā chukī ho kyā
zindagi se thaki thaki ho kya
tum bhi be-wajh ji rahi ho kya
dekh kar tum ko khilne lagte hain
tum gulon se bhi bolti ho kya
is qadar jo saji hui ho tum
meri KHatir saji hui ho kya
main to murjha gaya hun ab ke baras
tum kahin ab bhi khil rahi ho kya
aaj ye sham bhigti kyun hai
tum kahin chhup ke ro rahi ho kya
us ki KHushbu nahin rahi waisi
shahr se apne ja chuki ho kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.