zindagi se umid-e-rahat kya
zindagī se umīd-e-rāhat kyā
zinda rahne kī bhī zamānat kyā
husn meñ apne be-misāl hai vo
kisī tashbīh kī zarūrat kyā
ham bhī va.ada vafā kareñ tum bhī
vājibī baat hai muravvat kyā
aish-o-ārām kī talab kaisī
ranj-o-ālām kī shikāyat kyā
har musībat kī dāstāñ kahnā
hai musībat se kam musībat kyā
dīn-e-islām se bhī pahle thī
maañ ke qadmoñ ke nīche jannat kyā
saare haq āshnā haiñ muhr-ba-lab
āj-kal jurm hai sadāqat kyā
kāñTe bo.e ga.e haiñ dekhte haiñ
gul khilā.e ḳhudā kī qudrat kyā
ḳhānqāhoñ se hukmrānī kar
taaj kyā taḳht kyā riyāsat kyā
sher kah to liye 'zafar' tū ne
hai tirī shā.erī meñ nudrat kyā
zindagi se umid-e-rahat kya
zinda rahne ki bhi zamanat kya
husn mein apne be-misal hai wo
kisi tashbih ki zarurat kya
hum bhi wada wafa karen tum bhi
wajibi baat hai murawwat kya
aish-o-aram ki talab kaisi
ranj-o-alam ki shikayat kya
har musibat ki dastan kahna
hai musibat se kam musibat kya
din-e-islam se bhi pahle thi
man ke qadmon ke niche jannat kya
sare haq aashna hain muhr-ba-lab
aaj-kal jurm hai sadaqat kya
kanTe boe gae hain dekhte hain
gul khilae KHuda ki qudrat kya
KHanqahon se hukmrani kar
taj kya taKHt kya riyasat kya
sher kah to liye 'zafar' tu ne
hai teri shaeri mein nudrat kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.