zindagi shad nazar aae ki nashad rahe
zindagī shaad nazar aa.e ki nāshād rahe
sab gavārā hai magar dil meñ tirī yaad rahe
jaur-e-sayyād ko laa.e na kabhī ḳhātir meñ
ham qafas meñ bhī rahe aise ki āzād rahe
be-niyāzāna basar karte haiñ dīvāne tire
jo parastār-e-tamanna ho vo barbād rahe
kuchh bhī ho jaa.e magar rabt-e-mohabbat na miTe
ye duā hai ki tumheñ fursat-e-bedār rahe
jis ne dīvāna banāyā hai mujhe ai 'shā.ir'
hashr tak shaad rahe hashr tak ābād rahe
zindagi shad nazar aae ki nashad rahe
sab gawara hai magar dil mein teri yaad rahe
jaur-e-sayyaad ko lae na kabhi KHatir mein
hum qafas mein bhi rahe aise ki aazad rahe
be-niyazana basar karte hain diwane tere
jo parastar-e-tamanna ho wo barbaad rahe
kuchh bhi ho jae magar rabt-e-mohabbat na miTe
ye dua hai ki tumhein fursat-e-bedar rahe
jis ne diwana banaya hai mujhe ai 'shair'
hashr tak shad rahe hashr tak aabaad rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.