zindagi sham tak muskuraati rahi
zindagī shaam tak muskurātī rahī
vo mere saath photo khiñchātī rahī
der tak maiñ sunātā rahā apnā dukh
der tak vo chewing gum chabātī rahī
maiñ añgūThī liye us ko taktā rahā
aur vo uñglī se chābī ghumātī rahī
rail kī paTriyoñ se ka.ī roz tak
kaTne vaale kī āvāz aatī rahī
us kī gardan pe thā daañt kā ik nishāñ
saarā din oḌhnī se chhupātī rahī
zindagi sham tak muskuraati rahi
wo mere sath photo khinchati rahi
der tak main sunata raha apna dukh
der tak wo chewing gum chabaati rahi
main anguThi liye us ko takta raha
aur wo ungli se chabi ghumati rahi
rail ki paTriyon se kai roz tak
kaTne wale ki aawaz aati rahi
us ki gardan pe tha dant ka ek nishan
sara din oDhni se chhupati rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.