zindagi tang tere alap se main
zindagī tañg tire alaap se maiñ
Darne lagtā huuñ apnī chaap se maiñ
vajd meñ thaap mujh se lipTī hai
aur lipTā huā huuñ thaap se maiñ
tujh se milne kī aarzū le kar
aaj niklā huuñ apne aap se maiñ
sard rātoñ meñ aah ban ke uThī
jal gayā thā vahīñ pe bhaap se maiñ
thī kaḌī dhuup ghar se bāhar to
par kabhī kah sakā na baap se maiñ
sun ke bechain hogī duur hai vo
jo yahāñ jal rahā huuñ taap se maiñ
ranj miltā hai roz mujh se gale
thak gayā huuñ tire milāp se maiñ
zindagi tang tere alap se main
Darne lagta hun apni chap se main
wajd mein thap mujh se lipTi hai
aur lipTa hua hun thap se main
tujh se milne ki aarzu le kar
aaj nikla hun apne aap se main
sard raaton mein aah ban ke uThi
jal gaya tha wahin pe bhap se main
thi kaDi dhup ghar se bahar to
par kabhi kah saka na bap se main
sun ke bechain hogi dur hai wo
jo yahan jal raha hun tap se main
ranj milta hai roz mujh se gale
thak gaya hun tere milap se main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.