zindagi tera bol-baala hai
zindagī terā bol-bālā hai
tujh se har samt hī ujālā hai
tum kueñ ke qarīb baiThe ho
ham ne sāgar khañgāl Daalā hai
kis taraf se najāt pā.ūñ maiñ
har taraf makḌiyoñ kā jaalā hai
tujh ko kis samt khojne jā.ūñ
kahīñ masjid kahīñ shivālā hai
apnī yādoñ kī dījiye shabnam
zindagī aag hai javālā hai
apnī nazroñ ko de ke āzādī
mustaqil tum ne dard paalā hai
ziist ko 'shauq' tum na samjhoge
is kā har bhed hī nirālā hai
zindagi tera bol-baala hai
tujh se har samt hi ujala hai
tum kuen ke qarib baiThe ho
hum ne sagar khangal Dala hai
kis taraf se najat paun main
har taraf makDiyon ka jala hai
tujh ko kis samt khojne jaun
kahin masjid kahin shiwala hai
apni yaadon ki dijiye shabnam
zindagi aag hai jawala hai
apni nazron ko de ke aazadi
mustaqil tum ne dard pala hai
zist ko 'shauq' tum na samjhoge
is ka har bhed hi nirala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.