zindagi tera eatibar nahin
zindagī terā e.atibār nahīñ
is liye terā intizār nahīñ
tujh ko matlab nahīñ zamāne se
aarzū terī pur-bahār nahīñ
terī chāhat meñ gum huī duniyā
phir bhī tujh ko kisī se pyaar nahīñ
tere aane pe shaad hote haiñ
jin kā jaane par iḳhtiyār nahīñ
tū ne rasm-e-vafā na jaanī kabhī
be-ruḳhī kā tirī shumār nahīñ
tū ne jab chāhā muñh ko moḌ liyā
tū kisī kī bhī ġham-gusār nahīñ
tere jaane se dil-malūl haiñ ham
tū kisī kī bhī jāñ-nisār nahīñ
terī har ek adā suhānī sahī
tū qarīñ hai magar qarār nahīñ
zindagi tera eatibar nahin
is liye tera intizar nahin
tujh ko matlab nahin zamane se
aarzu teri pur-bahaar nahin
teri chahat mein gum hui duniya
phir bhi tujh ko kisi se pyar nahin
tere aane pe shad hote hain
jin ka jaane par iKHtiyar nahin
tu ne rasm-e-wafa na jaani kabhi
be-ruKHi ka teri shumar nahin
tu ne jab chaha munh ko moD liya
tu kisi ki bhi gham-gusar nahin
tere jaane se dil-malul hain hum
tu kisi ki bhi jaan-nisar nahin
teri har ek ada suhani sahi
tu qarin hai magar qarar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.