zindagi tere liye KHak bahut chhani hai
zindagī tere liye ḳhaak bahut chhānī hai
tū bhī mere liye ik vaj.h-e-pareshānī hai
maiñ ne bhī dekh liye naqsh-o-nigār-e-duniyā
dīdanī itnī nahīñ jitnī sanā-ḳhvānī hai
ġharq hotā huā dariyāoñ meñ sahrā-e-vajūd
be-zamīñ kartā huā chāroñ taraf paanī hai
maiñ ne māñgā thā bahut us ne diyā hai kuchh kam
faqat ikrām meñ ḳhvāhish kī farāvānī hai
vaqt ke baare meñ kab sochte haiñ ham vaise
ye tavārīḳh kā rāqim nahīñ zindānī hai
sab duā karte haiñ aur mil ke nahīñ rahte haiñ
is jahālat pe mujhe aaj bhī hairānī hai
zindagi tere liye KHak bahut chhani hai
tu bhi mere liye ek wajh-e-pareshani hai
main ne bhi dekh liye naqsh-o-nigar-e-duniya
didani itni nahin jitni sana-KHwani hai
gharq hota hua dariyaon mein sahra-e-wajud
be-zamin karta hua chaaron taraf pani hai
main ne manga tha bahut us ne diya hai kuchh kam
faqat ikram mein KHwahish ki farawani hai
waqt ke bare mein kab sochte hain hum waise
ye tawariKH ka raqim nahin zindani hai
sab dua karte hain aur mil ke nahin rahte hain
is jahaalat pe mujhe aaj bhi hairani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.