zindagi teri aarzu kya hai
zindagī terī aarzū kyā hai
mujh meñ ab terī justujū kyā hai
dard lene lagā hai añgḌā.ī
zaḳhm ye mere rū-ba-rū kyā hai
zaḳhm apne kuredtī huuñ maiñ
dasht-e-tanhā.ī chār-sū kyā hai
dekh kar aa.ina bhī hairāñ hai
naqsh-e-māzī kī aabrū kyā hai
zindagi teri aarzu kya hai
mujh mein ab teri justuju kya hai
dard lene laga hai angDai
zaKHm ye mere ru-ba-ru kya hai
zaKHm apne kuredti hun main
dasht-e-tanhai chaar-su kya hai
dekh kar aaina bhi hairan hai
naqsh-e-mazi ki aabru kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.