zindagi teri inayat bhi ghazab hoti hai
zindagī terī ināyat bhī ġhazab hotī hai
ishq ho jaa.e to hālat hī ajab hotī hai
bas mohabbat bhī hai dāġh-e-kaf-e-mūsā kī tarah
mo.ajize kyā nahīñ hote haiñ ye jab hotī hai
ai mire dil mujhe ye aas dilā.e rakhnā
ik nazar lutf kī ab hotī hai ab hotī hai
ye ġhanīmat hai ki hai naġhma-e-soz-e-hastī
zindagī yuuñ bhī kahāñ raqs-e-tarab hotī hai
ruuh dar-asl mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ
dam meñ dam dil meñ ye dhaḌkan kā sabab hotī hai
tishnagī had se guzar jaa.e na ba.ad-e-taskīñ
aur mil jaa.e to phir aur talab hotī hai
be-ḳhudī sā koī aalam hai ḳhudī par taarī
kaifiyat aisī ḳhabar kyā mujhe kab hotī hai
dil churā le jo use kahtī hai jaañ bhī de do
ye mohabbat bhī tabī.at kī ajab hotī hai
mere bas meñ to faqat mashq-e-suḳhan hai 'pinhāñ'
ḳhud ġhazal chāhe ki ho jaa.e ye tab hotī hai
zindagi teri inayat bhi ghazab hoti hai
ishq ho jae to haalat hi ajab hoti hai
bas mohabbat bhi hai dagh-e-kaf-e-musa ki tarah
moajize kya nahin hote hain ye jab hoti hai
ai mere dil mujhe ye aas dilae rakhna
ek nazar lutf ki ab hoti hai ab hoti hai
ye ghanimat hai ki hai naghma-e-soz-e-hasti
zindagi yun bhi kahan raqs-e-tarab hoti hai
ruh dar-asl mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
dam mein dam dil mein ye dhaDkan ka sabab hoti hai
tishnagi had se guzar jae na baad-e-taskin
aur mil jae to phir aur talab hoti hai
be-KHudi sa koi aalam hai KHudi par tari
kaifiyat aisi KHabar kya mujhe kab hoti hai
dil chura le jo use kahti hai jaan bhi de do
ye mohabbat bhi tabiat ki ajab hoti hai
mere bas mein to faqat mashq-e-suKHan hai 'pinhan'
KHud ghazal chahe ki ho jae ye tab hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.