zindagi teri talab thi to zamane dekhe
zindagī terī talab thī to zamāne dekhe
marte marte ka.ī jiine ke bahāne dekhe
hausla thā yā karam ho ki vafādārī ho
ham ne ulfat meñ ka.ī ḳhvāb suhāne dekhe
aañkh se jaarī rahā ashkoñ kā bahnā kyūñkar
ġham ne Thukrāyā to phir zaḳhm purāne dekhe
zaḳhm par zaḳhm lagāne kī na aadat thī use
mere qātil ne na.e roz nishāne dekhe
aap kā jurm nahīñ ham hī ḳhatā kar baiThe
dil ne bas chāhā tumheñ ġham ne Thikāne dekhe
ham pe ulfat kī huī aisī atā.eñ 'bāliġh'
jis taraf DhūñD liye ġham ke ḳhazāne dekhe
zindagi teri talab thi to zamane dekhe
marte marte kai jine ke bahane dekhe
hausla tha ya karam ho ki wafadari ho
hum ne ulfat mein kai KHwab suhane dekhe
aankh se jari raha ashkon ka bahna kyunkar
gham ne Thukraya to phir zaKHm purane dekhe
zaKHm par zaKHm lagane ki na aadat thi use
mere qatil ne nae roz nishane dekhe
aap ka jurm nahin hum hi KHata kar baiThe
dil ne bas chaha tumhein gham ne Thikane dekhe
hum pe ulfat ki hui aisi ataen 'baaligh'
jis taraf DhunD liye gham ke KHazane dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.