zindagi tujhko bhi aur tera tamasha dekhun
zindagi tujhko bhi aur tera tamasha dekhun
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
zindagī tujh ko bhī aur terā tamāsha dekhūñ
apnī ma.asūm sī āñkhoñ se maiñ kyā kyā dekhūñ
kyā sivā is ke bhalā aur nazāra dekhūñ
raat kī shāḳh pe us chāñd ko baiThā dekhūñ
raqs kartā huā guzrā hai abhī hijr kā dukh
dhuul chhaT jaa.e to aage kā bhī rasta dekhūñ
ek vo din thā ki ik shaḳhs thā duniyā merī
ek ye din hai ki har shaḳhs meñ duniyā dekhūñ
merī niyyat to bahut baar parakh lī us ne
maiñ bhī us shaḳhs kā is baar irāda dekhūñ
vaqt ke saath to ḳhud vaqt badal jaatā hai
so hī ḳhvāhish hai ki maiñ ḳhud ko badaltā dekhūñ
aur tū bol paḌe palkeñ to jhapkāyā karo
sochtā huuñ tirī tasvīr ko itnā dekhūñ
zindagi tujh ko bhi aur tera tamasha dekhun
apni masum si aankhon se main kya kya dekhun
kya siwa is ke bhala aur nazara dekhun
raat ki shaKH pe us chand ko baiTha dekhun
raqs karta hua guzra hai abhi hijr ka dukh
dhul chhaT jae to aage ka bhi rasta dekhun
ek wo din tha ki ek shaKHs tha duniya meri
ek ye din hai ki har shaKHs mein duniya dekhun
meri niyyat to bahut bar parakh li us ne
main bhi us shaKHs ka is bar irada dekhun
waqt ke sath to KHud waqt badal jata hai
so hi KHwahish hai ki main KHud ko badalta dekhun
aur tu bol paDe palken to jhapkaya karo
sochta hun teri taswir ko itna dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.