zindagi tujh pe giran hai tu marega kaise
zindagī tujh pe girāñ hai tū maregā kaise
jis ko ronā nahīñ aatā vo hañsegā kaise
merī āñkhoñ meñ koī ashk na hoñToñ pe ġhazal
dāstān-e-ġham-e-dil koī sunegā kaise
haath shal ho ga.e dil dard se mahrūm huā
parda chhoḌā hai jo us ne vo haTegā kaise
kaisā nādān hai tū jab mirā dil toḌā thā
ye na sochā ki tujhe yaad karegā kaise
āstāñ chhoḌ ke terā maiñ kahīñ kā na rahā
baiThnā aa.e na jis ko vo chalegā kaise
ab ke shohrat ko ḳhabar hai tirī bad-ḳhūī kī
marsiya dil kā tire aage paḌegā kaise
zindagi tujh pe giran hai tu marega kaise
jis ko rona nahin aata wo hansega kaise
meri aankhon mein koi ashk na honTon pe ghazal
dastan-e-gham-e-dil koi sunega kaise
hath shal ho gae dil dard se mahrum hua
parda chhoDa hai jo us ne wo haTega kaise
kaisa nadan hai tu jab mera dil toDa tha
ye na socha ki tujhe yaad karega kaise
aastan chhoD ke tera main kahin ka na raha
baiThna aae na jis ko wo chalega kaise
ab ke shohrat ko KHabar hai teri bad-KHui ki
marsiya dil ka tere aage paDega kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.