zindagi tujhse pyar kya karte
zindagī tujh se pyaar kyā karte
tujh pe ham jaañ nisār kyā karte
umr guzrī hai ḳhud se laḌte hue
ġhair kā e'tibār kyā karte
vo ghaḌī ham ne jo jiyā hī nahīñ
zindagī meñ shumār kyā karte
ab mohabbat meñ jī nahīñ lagtā
ik ḳhatā baar baar kyā karte
us ne dekhā thā aisī nazroñ se
mar na jaate to yaar kyā karte
muflisī ham ne ḳhud-kushī kar lī
maut kā intizār kyā karte
zindagi tujh se pyar kya karte
tujh pe hum jaan nisar kya karte
umr guzri hai KHud se laDte hue
ghair ka e'tibar kya karte
wo ghaDi hum ne jo jiya hi nahin
zindagi mein shumar kya karte
ab mohabbat mein ji nahin lagta
ek KHata bar bar kya karte
us ne dekha tha aisi nazron se
mar na jate to yar kya karte
muflisi hum ne KHud-kushi kar li
maut ka intizar kya karte
- Book : Lahja bolta hai (Pg. 112)
- Author : Siraj Alam Zakhmi
- Publication : Gulistan-e-adab (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.