zindagi tu bhi bewafa nikli
zindagī tū bhī bevafā niklī
kyā samajhte the aur kyā niklī
ghar ke dīvār-o-dar bhī kaañp ga.e
dil ke goshe se jab sadā niklī
ro paḌī vo huī udaas bahut
mere āñgan se jab sabā niklī
taar nāzuk the dil ke TuuT ga.e
chheḌ kar jab vo dil-rubā niklī
ham ināyat jise samajh ke chale
vo bhī āḳhir kaḌī sazā niklī
dostoñ ne kiye karam ham par
har duā un kī badduā niklī
jis balā se hamesha bach ke chale
moḌ par har galī ke aa niklī
jis ko nekī samajh ke tū ḳhush thā
vo bhī 'āzim' tirī ḳhatā niklī
zindagi tu bhi bewafa nikli
kya samajhte the aur kya nikli
ghar ke diwar-o-dar bhi kanp gae
dil ke goshe se jab sada nikli
ro paDi wo hui udas bahut
mere aangan se jab saba nikli
tar nazuk the dil ke TuT gae
chheD kar jab wo dil-ruba nikli
hum inayat jise samajh ke chale
wo bhi aaKHir kaDi saza nikli
doston ne kiye karam hum par
har dua un ki baddua nikli
jis bala se hamesha bach ke chale
moD par har gali ke aa nikli
jis ko neki samajh ke tu KHush tha
wo bhi 'azim' teri KHata nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.