zindagi tu ne ajab baat ye batlai hai
zindagī tū ne 'ajab baat ye batlā.ī hai
ik qayāmat hai bapā shahr meñ rusvā.ī hai
ḳhalvat-e-jān meñ guzrī hai mirī 'umr-e-ravāñ
aap kahte haiñ ki be-nām sazā paa.ī hai
aap ko haal batā.ūñ to batā.ūñ kaise
aap ke shahr meñ har shaḳhs tamāshā.ī hai
ek din kaif ke 'ālam meñ pukārā us ne
ye vahī dasht hai jis dasht meñ tanhā.ī hai
na tamanna na tamāshā na koī aah bharī
phir bhī āñkhoñ meñ mire dard kī gahrā.ī hai
ġham hazāroñ the ki ik aur mohabbat kar lī
ek rusvā ko milī muft meñ rusvā.ī hai
merī duniyā meñ ḳhamoshī ke 'alāva nahīñ kuchh
āḳhirī vaqt meñ ye baat samajh aa.ī hai
us ne jakḌā hai mujhe kāñToñ ke bistar se 'umūd'
phir tabassum-bhare hoñToñ se qasam khaa.ī hai
zindagi tu ne 'ajab baat ye batlai hai
ek qayamat hai bapa shahr mein ruswai hai
KHalwat-e-jaan mein guzri hai meri 'umr-e-rawan
aap kahte hain ki be-nam saza pai hai
aap ko haal bataun to bataun kaise
aap ke shahr mein har shaKHs tamashai hai
ek din kaif ke 'alam mein pukara us ne
ye wahi dasht hai jis dasht mein tanhai hai
na tamanna na tamasha na koi aah bhari
phir bhi aankhon mein mere dard ki gahrai hai
gham hazaron the ki ek aur mohabbat kar li
ek ruswa ko mili muft mein ruswai hai
meri duniya mein KHamoshi ke 'alawa nahin kuchh
aaKHiri waqt mein ye baat samajh aai hai
us ne jakDa hai mujhe kanTon ke bistar se 'umud'
phir tabassum-bhare honTon se qasam khai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.