Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi tu ne ajab baat ye batlai hai

Umood Abrar Ahmad

zindagi tu ne ajab baat ye batlai hai

Umood Abrar Ahmad

MORE BYUmood Abrar Ahmad

    zindagī ne 'ajab baat ye batlā.ī hai

    ik qayāmat hai bapā shahr meñ rusvā.ī hai

    ḳhalvat-e-jān meñ guzrī hai mirī 'umr-e-ravāñ

    aap kahte haiñ ki be-nām sazā paa.ī

    aap ko haal batā.ūñ to batā.ūñ kaise

    aap ke shahr meñ har shaḳhs tamāshā.ī hai

    raat rangīñ meñ sitāroñ se saje joban par

    raqs kartā huā dekhā koī maulā.ī hai

    ek din kaif ke 'ālam meñ pukārā us ne

    ye vahī dasht hai jis dasht meñ tanhā.ī hai

    na tamanna na tamāshā na koī aah bharī

    phir bhī āñkhoñ meñ mire dard gahrā.ī hai

    ġham hazāroñ the ki ik aur mohabbat kar

    ek rusvā ko milī muft meñ rusvā.ī hai

    merī duniyā meñ ḳhamoshī ke 'alāva nahīñ kuchh

    āḳhirī vaqt meñ ye baat samajh aa.ī hai

    us ne jakḌā hai mujhe kāñToñ ke bistar se 'umūd'

    phir tabassum bhare hoñToñ se qasam khaa.ī hai

    zindagi tu ne 'ajab baat ye batlai hai

    ek qayamat hai bapa shahr mein ruswai hai

    KHalwat-e-jaan mein guzri hai meri 'umr-e-rawan

    aap kahte hain ki be-nam saza pai

    aap ko haal bataun to bataun kaise

    aap ke shahr mein har shaKHs tamashai hai

    raat rangin mein sitaron se saje joban par

    raqs karta hua dekha koi maulai hai

    ek din kaif ke 'alam mein pukara us ne

    ye wahi dasht hai jis dasht mein tanhai hai

    na tamanna na tamasha na koi aah bhari

    phir bhi aankhon mein mere dard ki gahrai hai

    gham hazaron the ki ek aur mohabbat kar li

    ek ruswa ko mili muft mein ruswai hai

    meri duniya mein KHamoshi ke 'alawa nahin kuchh

    aaKHiri waqt mein ye baat samajh aai hai

    us ne jakDa hai mujhe kanTon ke bistar se 'umud'

    phir tabassum bhare honTon se qasam khai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now