zindagi tu ne kabhi KHud ko sanwara bhi nahin
zindagī tū ne kabhī ḳhud ko sañvārā bhī nahīñ
jhilmilātā tire māthe pe sitārā bhī nahīñ
sar Tikāyā hī thā dīvār pe āñkheñ chhalkīñ
aaj vo vaqt hai tinke kā sahārā bhī nahīñ
gaañv ke kachche makāñ būḌhe shajar yaad aa.e
shahr-e-be-dard meñ ab merā guzārā bhī nahīñ
lafz ne aaheñ bharīñ aur qalam bhī royā
dard kāġhaz pe abhī ham ne utārā bhī nahīñ
vo chamaktī hai añdheroñ meñ sitāroñ kī tarah
Dhang se jis ne kabhī ḳhud ko sañvārā bhī nahīñ
zindagi tu ne kabhi KHud ko sanwara bhi nahin
jhilmilata tere mathe pe sitara bhi nahin
sar Tikaya hi tha diwar pe aankhen chhalkin
aaj wo waqt hai tinke ka sahaara bhi nahin
ganw ke kachche makan buDhe shajar yaad aae
shahr-e-be-dard mein ab mera guzara bhi nahin
lafz ne aahen bharin aur qalam bhi roya
dard kaghaz pe abhi hum ne utara bhi nahin
wo chamakti hai andheron mein sitaron ki tarah
Dhang se jis ne kabhi KHud ko sanwara bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.