zindagi usko ras aai hai
zindagī us ko raas aa.ī hai
jis ne ġham se hayāt paa.ī hai
kaun samjhā fasāna-e-dil ko
maiñ huuñ tanhā jahāñ ḳhudā.ī hai
barq-e-sozāñ girī hai jab bhī kahīñ
aañch mere qafas tak aa.ī hai
ik maza de ga.e haiñ kāñTe bhī
haa.e kyā shai barahna-pā.ī hai
jab hañsī lab pe aa.ī hai 'shāriq'
aañkh kyā jaane kyoñ bhar aa.ī he
zindagi us ko ras aai hai
jis ne gham se hayat pai hai
kaun samjha fasana-e-dil ko
main hun tanha jahan KHudai hai
barq-e-sozan giri hai jab bhi kahin
aanch mere qafas tak aai hai
ek maza de gae hain kanTe bhi
hae kya shai barahna-pai hai
jab hansi lab pe aai hai 'shaariq'
aankh kya jaane kyon bhar aai he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.