zindagi wajh-e-munajat nazar aati hai
zindagī vaj.h-e-munājāt nazar aatī hai
maut māyūs-e-kamālāt nazar aatī hai
muḳhtasar tū ne jo dī hai mujhe do din kī hayāt
mere kaase meñ ye ḳhairāt nazar aatī hai
kyā kisī shimr ne phir ḳheme jalā Daale haiñ
sar ko khole hue sādāt nazar aatī hai
kuchh mirī baat kī tā.īd kiyā karte haiñ
kuchh ko to sirf ḳhurāfāt nazar aatī hai
us kī har baat mujhe lagtī hai achchhī lekin
maiñ jo bolūñ to ġhalat baat nazar aatī hai
ab kisī aur ko bhī sochte dil Dartā hai
hijr kī guzrī huī raat nazar aatī hai
zindagi wajh-e-munajat nazar aati hai
maut mayus-e-kamalat nazar aati hai
muKHtasar tu ne jo di hai mujhe do din ki hayat
mere kase mein ye KHairaat nazar aati hai
kya kisi shimr ne phir KHeme jala Dale hain
sar ko khole hue sadat nazar aati hai
kuchh meri baat ki taid kiya karte hain
kuchh ko to sirf KHurafat nazar aati hai
us ki har baat mujhe lagti hai achchhi lekin
main jo bolun to ghalat baat nazar aati hai
ab kisi aur ko bhi sochte dil Darta hai
hijr ki guzri hui raat nazar aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.