zindagi waqf-e-gham-o-hasrat-o-alam sahi
zindagī vaqf-e-ġham-o-hasrat-o-ālām sahī
aap de deñ to yahī ishq kā in.aam sahī
na sahī un kī mohabbat kā asar ai hamdam
dil ko ehsās-e-ġham-e-gardish-e-ayyām sahī
be-niyāz-e-ḳhum-o-paimāna rahe ham lekin
aaj saaqī kī ināyat hai to ik jaam sahī
us ne dekhā to sahī dil ko ba-ehsās-e-vafā
phir bhī afsāna mirā tishna-e-anjām sahī
rahrav-e-shauq ye vāmāndagi-e-shauq hai kyā
duur manzil hai agar aur bhī do-gām sahī
aa bhī jaa.eñ ki nikal jaa.e mirī hasrat-e-dīd
un kā aanā hai agar maut kā paiġhām sahī
zindagi waqf-e-gham-o-hasrat-o-alam sahi
aap de den to yahi ishq ka inam sahi
na sahi un ki mohabbat ka asar ai hamdam
dil ko ehsas-e-gham-e-gardish-e-ayyam sahi
be-niyaz-e-KHum-o-paimana rahe hum lekin
aaj saqi ki inayat hai to ek jam sahi
us ne dekha to sahi dil ko ba-ehsas-e-wafa
phir bhi afsana mera tishna-e-anjam sahi
rahraw-e-shauq ye wamandagi-e-shauq hai kya
dur manzil hai agar aur bhi do-gam sahi
aa bhi jaen ki nikal jae meri hasrat-e-did
un ka aana hai agar maut ka paigham sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.