zindagi ye hai to saza kya hai
zindagī ye hai to sazā kyā hai
ye to mālūm ho ḳhatā kyā hai
aag dil meñ lagā ke pūchhte ho
ai divāne tujhe huā kyā hai
ham ne dekhā hai us hasīñ kā jamāl
ham nahīñ jānte ḳhudā kyā hai
farsh-tā-arsh jā ke lauT aayā
ishq kī āḳhir intihā kyā hai
dekhnā dil kā mere ḳhuuñ to nahīñ
tere dāman pe ye lagā kyā hai
kar rahā huuñ maiñ aaj tujh se savāl
haañ na karne kā mājrā kyā hai
āshiyāne meñ chhup ke baiTh gayā
bāl-o-par ko tire huā kyā hai
jhuuT kī zindagī meñ haq-goī
bol 'sāhil' tirī sazā kyā hai
zindagi ye hai to saza kya hai
ye to malum ho KHata kya hai
aag dil mein laga ke puchhte ho
ai diwane tujhe hua kya hai
hum ne dekha hai us hasin ka jamal
hum nahin jaante KHuda kya hai
farsh-ta-arsh ja ke lauT aaya
ishq ki aaKHir intiha kya hai
dekhna dil ka mere KHun to nahin
tere daman pe ye laga kya hai
kar raha hun main aaj tujh se sawal
han na karne ka majra kya hai
aashiyane mein chhup ke baiTh gaya
baal-o-par ko tere hua kya hai
jhuT ki zindagi mein haq-goi
bol 'sahil' teri saza kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.