zindagi yun hui basar tanha
zindagī yuuñ huī basar tanhā
jaise vaadī meñ ik shajar tanhā
ḳhūñ-talab ḳhvāhishoñ ke jangal meñ
kaise kāTo.ge ye safar tanhā
chāñdnī pattharoñ pe sotī hai
chāñd phirtā hai dar-ba-dar tanhā
apnī shāḳhoñ ke TuuT jaane par
peḌ rote haiñ raat bhar tanhā
ḳhushbuoñ kī talāsh meñ titlī
uḌ rahī hai nagar nagar tanhā
kaun aa.egā ab 'nazīr' yahāñ
duur tak hadd-e-rahguzar tanhā
zindagi yun hui basar tanha
jaise wadi mein ek shajar tanha
KHun-talab KHwahishon ke jangal mein
kaise kaToge ye safar tanha
chandni pattharon pe soti hai
chand phirta hai dar-ba-dar tanha
apni shaKHon ke TuT jaane par
peD rote hain raat bhar tanha
KHushbuon ki talash mein titli
uD rahi hai nagar nagar tanha
kaun aaega ab 'nazir' yahan
dur tak hadd-e-rahguzar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.