zindagi zinda hai lekin kisi dam-saz ke sath
zindagī zinda hai lekin kisī dam-sāz ke saath
varna yuuñ jaise kabūtar koī shahbāz ke saath
bijliyāñ saath liye zahr bhare lamhoñ kī
vaqt chaltā hai zamāne meñ kis andāz ke saath
āsmāñ jaane kahāñ le ke chalā hai mujh ko
uupar uThtā hai barābar mirī parvāz ke saath
aaj tanhā huuñ to kyaa, dekhtā rahnā kal tak
aur āvāzeñ bhī hoñgī mirī āvāz ke saath
ek āġhāz ubhartā hai har anjām ke ba.ad
ek anjām bhī paltā hai har āġhāz ke saath
ek lamha ki garāñ hai mujhe tanhā.ī meñ
ek duniyā ki javāñ hai mire hamrāz ke saath
zindagi zinda hai lekin kisi dam-saz ke sath
warna yun jaise kabutar koi shahbaz ke sath
bijliyan sath liye zahr bhare lamhon ki
waqt chalta hai zamane mein kis andaz ke sath
aasman jaane kahan le ke chala hai mujh ko
upar uThta hai barabar meri parwaz ke sath
aaj tanha hun to kya, dekhta rahna kal tak
aur aawazen bhi hongi meri aawaz ke sath
ek aaghaz ubharta hai har anjam ke baad
ek anjam bhi palta hai har aaghaz ke sath
ek lamha ki garan hai mujhe tanhai mein
ek duniya ki jawan hai mere hamraaz ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.