zindagi zindagi nahin lagti
zindagī zindagī nahīñ lagtī
ab koī shai bhalī nahīñ lagtī
jis ko paane kī justujū hai mujhe
haath bas ik vahī nahīñ lagtī
us ko afsar pasand aate haiñ
aur mirī naukrī nahīñ lagtī
kitnī kaliyāñ havas ke naam huiiñ
aag lekin bujhī nahīñ lagtī
'ishq lagtā hai khel bachchoñ kā
dil-lagī dil-lagī nahīñ lagtī
qahqahoñ kā sabab udāsī hai
tū mujhe masḳharī nahīñ lagtī
pahle lagtī thī kuchh kamī mujh ko
ab kisī kī kamī nahīñ lagtī
zindagi zindagi nahin lagti
ab koi shai bhali nahin lagti
jis ko pane ki justuju hai mujhe
hath bas ek wahi nahin lagti
us ko afsar pasand aate hain
aur meri naukri nahin lagti
kitni kaliyan hawas ke nam huin
aag lekin bujhi nahin lagti
'ishq lagta hai khel bachchon ka
dil-lagi dil-lagi nahin lagti
qahqahon ka sabab udasi hai
tu mujhe masKHari nahin lagti
pahle lagti thi kuchh kami mujh ko
ab kisi ki kami nahin lagti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.