zinhaar uski phir koi qimat nahin rahi
zinhār us kī phir koī qīmat nahīñ rahī
jis dil meñ tere ġham kī amānat nahīñ rahī
shāyad kisī ne mujh ko farāmosh kar diyā
aglī sī ab firāq meñ lazzat nahīñ rahī
yā ab nigāh-e-nāz meñ vo garmiyāñ nahīñ
yā dil ko iztirāb kī aadat nahīñ rahī
vo zindagī abas hai na ho jis meñ soz-o-sāz
us dil pe haif jis meñ mohabbat nahīñ rahī
kuchh yuuñ miTā rahī hai mujhe gardish-e-falak
duniyā ko jaise merī zarūrat nahīñ rahī
har lamha un kī yaad rahī monis-e-hayāt
har chand un ko mujh se mohabbat nahīñ rahī
'tālib' pe ab kisī kī nigāh-e-karam nahīñ
shāyad matā-e-ishq kī qīmat nahīñ rahī
zinhaar us ki phir koi qimat nahin rahi
jis dil mein tere gham ki amanat nahin rahi
shayad kisi ne mujh ko faramosh kar diya
agli si ab firaq mein lazzat nahin rahi
ya ab nigah-e-naz mein wo garmiyan nahin
ya dil ko iztirab ki aadat nahin rahi
wo zindagi abas hai na ho jis mein soz-o-saz
us dil pe haif jis mein mohabbat nahin rahi
kuchh yun miTa rahi hai mujhe gardish-e-falak
duniya ko jaise meri zarurat nahin rahi
har lamha un ki yaad rahi monis-e-hayat
har chand un ko mujh se mohabbat nahin rahi
'talib' pe ab kisi ki nigah-e-karam nahin
shayad mata-e-ishq ki qimat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.