ziya-e-rang bhi kuchh to dosti karo yar
ziyā-e-rañg bhī kuchh to dostī karo yaar
bahut añdherā hai kamre meñ raushnī karo yaar
yahāñ farāġhateñ bār-e-garāñ haiñ rishtoñ par
qarābatoñ kā taqāzā hai naukrī karo yaar
bharam nigāh meñ rakkho vaqār-e-qāmat kā
baḌā hai zarf to phir baat bhī baḌī karo yaar
chahaktī shab meñ ḳhamoshī udaas jañgal hai
laboñ ke phuul mahakne do baat bhī karo yaar
jahāñ balā-e-fanā ghaat meñ khaḌī hai vahāñ
ye chaar sāñseñ ġhanīmat haiñ zindagī haiñ karo yaar
payām likkho mohabbat se aur bhejo use
baḌā hasīn hai ye kaam ise abhī karo yaar
tilism-e-fikr se aage haiñ ishrateñ 'ādil'
ye qaid-ḳhāna girā Daalo zindagī karo yaar
ziya-e-rang bhi kuchh to dosti karo yar
bahut andhera hai kamre mein raushni karo yar
yahan faraghaten bar-e-garan hain rishton par
qarabaton ka taqaza hai naukri karo yar
bharam nigah mein rakkho waqar-e-qamat ka
baDa hai zarf to phir baat bhi baDi karo yar
chahakti shab mein KHamoshi udas jangal hai
labon ke phul mahakne do baat bhi karo yar
jahan bala-e-fana ghat mein khaDi hai wahan
ye chaar sansen ghanimat hain zindagi hain karo yar
payam likkho mohabbat se aur bhejo use
baDa hasin hai ye kaam ise abhi karo yar
tilism-e-fikr se aage hain ishraten 'adil'
ye qaid-KHana gira Dalo zindagi karo yar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.